Showing posts with label muhabat wafa. Show all posts
Showing posts with label muhabat wafa. Show all posts

Saturday 26 April 2014

Romantic Urdu Poetry

Love Urdu Poetry For Her


tujhy chahty hain hum


Hum Se muhabaton ki numaaish na ho saky gi
Bas Itna Janty hain k tujhy chahty hain hum

Merybanjao.blogspot.com

Muhabat aazmani ho to


Muhabat aazmani ho to bas itna hi kafi he saghr
Zara Sa Ruth kar dekho manany kon aata he

Khud Ko Piyasa Rakhna


Sab ko serab-e-wafa karna khud ko piyasa rakhna
Mujh ko le doby ga ea dill tera darya hona

Aankhon ka he fareeb ya


Aankhon ka he fareeb ya aqse jamaal he
Aati he q nazar teri surat jaga jaga

Tum Ko ulja kar kuch


aquapearl.files.wordpress.com
Tum ko ulja kar kuch sawalon main
me ne ji bhar k tum ko dekh liya

Agar muhabat roh se


Agar muhabat roh se piyar karny ka naam he
To insan jism ko pany ki khuahish ku karta he

Muhabat Aesi Hoti he


Tum haso to khushi mujhy hoti he
to to aankhain meri roti hain

Tum dor jao to be cheni mujhy hoti he
Mehsos kar k dekh lo Muhabat esi hoti he

Hum ne kuch aesa tarasha


Hum ne kuch aesa tarasha he teri ankhon ko
Log sahr ki misalon se tujhy janty hain


Khushyon ki sham or yadon ka


Khushiyon ki sham or yadon ka ye sama
4.bp.blogspot.com/
Apni palkon pe har giz sitary na lain ge

Rakhna sambhal kar chand khushyan mery liye
Me lot aaon ga to Eid Mana le


Romantic Urdu Poetry



Humain tum se muhabat he
Hamara dosh he mana

Tumhain apna jo he mana
Tumhary bin jena marg jesa he

humain janat ka har ghosha bhi goya narg jesa he
Haqeeqat main agar socho

muhabat main ana ka kam hi kia he
chalo ab man bhi jao

k tumko apna manaty hain
humain tum se muhabat he

merybanjao.blogspot.com

Mujhy zindagi khny waly

wasishahpoetry.files.wordpress.com/

Mujhy zindagi kehny waly
Meri Zindagi Teri Ana k hathon

reza reza hogi phir yon hua toot gyi
bikhar gyi main jaan-e-jana

Kia muhabat muhabat isi kokhty hain
k ana ki maar mar di jaay.

Taluq tota hon to muqamal


Taluq torta hon to muqamal tor deta hon
Jesy main chor deta hon muqamat chor deta hon

Muhabat ho ya nafrat bhara rehta hon shdat se
Jidar se aa jay ye darya urdar mor deta hon

Yaqeen rakhta nahi hon kisi kachy taluq par
Jo dhaga tutny wala ho usko tor deta hon

Mery dekhy hoy sapny kahi murda na ho jayin
Ghrondy rait k tameer kar k phor deta hon

Adeem ab tak whi bachpan whi tkhreebkari he
Qafas ko tor deta hon parindy chor deta hon


Matam nahi karty


Gir jay jo diwar to matam nahi karty
Karty hain boht log magar hum nahi karty

He apni tabiyat me jo khami to yhi he
Hum ishk to karty hain magar kam nahi karty

Nafrat se to behtar he k rasta hi juda ho
Beqar guzar gahon ko bahaum nahi karty

Har sans me dozakh ki tapish si he
Magar hum surj ki trha aag ko mdham nahi karty

Kia ilm k roty ho to mar jaty ho faisal
Wo log jo ankhon ko bhi nam nahi karty

merybanjao.blogspot.com

Zindagi k har lamhy me


Teri Har ada muhabat si lagti he
Ik pal ki judai mudat si lagti he

Pehly nahi socha ab sochty hain
Zindagi k har lamhy main teri zarorat si lagti he


Bhari mehfel main tanha rehna


Bhri mehfel main tanha rehna acha lagta he
nabas ba me sochty rhna acha lagta he

Kabhi pholon main kabhi khayalon main
Tujh ko hi dhondty rehna acha lagta he

Meri zindagi ki khushyan tum se hain wabasta
rab se sirf tumhain hi mangna acha lagta he

Hamary darmiya chal rhi sadyon ki khamoshiyan
Kuch is tarha guftagu karna acha lagta he

Tumhary bagair zindagi ka koi tasawar hi nahi he
Kuch is tarha tumhari tamana karna acha lagta he

Tum hi ko chaha tum hi ko chahty hain
Tum hi ko chahty rehna acha lagta he

Main cheen longi tumhain dunya ki rasmon se
K mujhy zamany se bagawat karna acha lagta he

Romentic urdu poetry sms


Har waqat khush rehny ka mashwara dety hoy
Ro para wo aaj mujhko hosla dety hoye

kha talash kro ge tum


Kha talash karo ge tum mujh jesa Shakhs
Jo tumhary sitam bhi sahy or Tum se Muhabat bhi kary


Mujhy muhabat karna sikha gya



Mery Rag wo pe me sama gya wo shks
meri zindagi me cha gya wo shakhs

mery dill se dill mila gya wo shakhs
Mujhy khush naseeb bana gya wo shakhs

Mujhy de gya har khushi

meri aankhon se neend chura gya wo shaks

Jany kia baat thi us main aesi
Mujhy muhabat karna sikha gya wo shakhs


Romantic urdu poetry two lines


Aasani se koi mill jay to qismat ka sath he
Suli par char kar bhi jo na milain usy muhabat kehty hain

Kis kis k hain


Kis kis k hain bas tumhary hain
Inky ye alfaz kitny piyary hain

Be zuba Badlon ko 


be zuba badlon ko de rha apni zaba koi
lagta he asma ko suna rha he dard ki dasta koi

Samjhty thy dosron se


Samjhty thy dosron se boht mukhtalif tujhy
Kia maan lain k tu bhi hamara nahi rha

Kuch waqt ki rwani ne hamain


Kuch waqt ki rwani ne hamain yon badal diya
Wafa par ab bhi qaym hain magar muhabat cor di hum ne


Unhain Ye khuahish k hum


Unhain ye khuahish k hum Zuba se izhar karain
Humain ye arzu k wo dill ki zaba samjh lain

Uski nigah me koi


Uski nigah me koi jadu zaroor tha
Jis par bhi pari us k jigar main utar gyi


Nada thy jo rakhty 


Nada thy jo rakthy thy umeedain kisi par
Zaat Allah K siwa koi kisi ka nahi hota

Sahibe shriyat hain


Shhibe shriyat hain aap ak fatwa to dain
Rukh yaar py marna bhi shadat he kia

Sub hi tareef karty hain


Sub tareef karty hain meri tehreron ki
Kabhi koi nahi sunta mery lafzon ki siskiyan

Yun hi bachpan se


Yon hi bachpan se rakty rhy dill saf hum apna
Pata nhi tha k qeemat to chehron ki hoti he dill ki nahi

Romantic Urdu Ghazal


Kabhi Khud Bhi Mery pas aa meri baat sun mera sath de
Jo khalish hai dill se nikal ke mujhy ujalon se nijaat de

Tera Sochna mera mashghala tujhy dekhna meri aarzu
Mujhy din de apne khayal ka mujhe apne qurb ki rat de

Me akela bhtkon kha kha ye safar boht taweel he
Meri zindagi mery sath chal mery hathon main apna hath dy




Romantic Shayari




Kisi Manus lamhy main kisi manus chehry se
Muhabat ki nahi jati muhabat ho jati he

Jo bat hum keh nahi sakty


Jo bat hum keh nahi sakty usy hum farz karty hain
Cho hum farz karty hain k humain tum se muhabat he

Pehly socha tha k 


Pehly socha tha k ik safa ho khani biyan karny ko
Phir khyal aaya k iska naam hi kafi he is dastan k liye




Sad Urdu Poetry
sadpoetry.org
poetryimages.files.wordpress.com

http://itsmyideas.com/

Ak Chand Phir Naseeb Sai Dil Men Utar Gaya Sad... by FaizaSem
»»  read more

Tuesday 22 April 2014

Muhabat Bheek he shayed

Jis ki poja ko muhabat


Jis ki poja ko muhabat kehta he aaj ka falsafa
Yhi Dor Hazir ki muhabat he tu main jahil hi acha

Tumhari Dunya Main


Tumhari Dunya main hum jesy hazaron hongy
Magar hamari dunya main tum sa koi nahi he

Main ne to Zindagi Ko


Mainy to zindagi ko tery Naam likh diya tha
Shayed magar kuch or hi marzi khuda ki thi

Muhabat Bheek he shayed


Muhabat bhik he shayed
Bari Mushkil se milti he
»»  read more

Wednesday 2 April 2014

Najaany Phir bhi teri zarorat kam nhi hoti two line urdu poetry

Bin tumhary kabhi nhi aai
Kia meri Neend Bhi Tumhari He


Mery ban Jao


hamari Bekhudi ka haal wo pochy agar
To kehna hosh bas itna he k tumko yad karty hain


Mery Ban Jao


Tanhai ne das liya tha zaid
Jab tum na the



Mery Ban Jao


Izhar-e-Tamana Hi toheen-e-Tamana he
Tum khud hi samjh jaao me naam nhi longi


Mery Ban Jao



Boht kuch Tujh se barh kar bhi muyasar tha
Najaany Phir bhi teri zarorat kam nhi hoti
»»  read more

Jab Muhabat hi nahi darmiya

Bas yhi aadat us ki mujhy boht achi lagti hai
Udas kar k mujhy khud bhi wo khush nahi rehti


Mery Ban Jao


Or zamanat wafa ki kiya hogi
Tum meri Sans girwi rakh lo


Mery Ban Jao


Mujhy bhi aainy jesa kamal hasil he
Me tot ta hon to phir beshumar hota hon


Mery Ban Jao


Tumhari thi shrarat mehndi se hatheli py nam likhna
Or mujhy ruswa kar diya tum ne yonhi khelty khelty


Mery Ban Jao


Ulja rahi he mujhko Yhi kashmaqas Musalsal Mohsin

Wo aa basa he mujh me ya main us main kho gya hon


Mery Ban Jao


Jab Muhabat hi nahi Darmiyan
wo Rothain kia Hum manay kia


Mery Ban Jao

»»  read more

Tuesday 4 March 2014

Two Lines Urdu Poetry Collection 2 lines Urdu Poetry

Welcome to a huge Collection of 2 lines urdu poetry I hope You like it.

Dekhta hon k koi parsaan nahi gareebon ko

Sochta hon mujhy jeeny ka haq he bhi k nahi

Mery Ban Jao

Meny Ilaj-e-Ishk jo pocha tabeeb se

Dhemy lehjy me bola Subha Doper Sham Zehr piya karo

Mery Ban Jao

Manzalaon is tarha satao hamain k tum ko pany ki justaju na rhy

Mery Ban Jao

Uth kar to aa gye hain teri bazm se magar

Kuch dill hi janta he kis dill se aay hain

Mery Ban Jao

Pani sasta he to iska tahafaz kesa

Khoon Mehnga He to har sher me Behta q he

Mery Ban Jao

Meri hesiyat ka andaza tum ye jan kar kar lo

Hum kabhi unky nahi hoty jo har kisi k ho jay

Mery Ban Jao

Is dunya k log bhi kitny ajeeb hain sary khilony chor kar jazbaat se khelty hain

Mery Ban Jao


Nahi nafrat mujhy zamany ki khushiyon se abaas

Such kaho to khuda yaad aata he boht dard milny k baad

Mery Ban Jao



Sirf chry ki udasi se bhar aay anso

Dill ka aalam to abhi aap ney dekha hi nahi

Mery Ban Jao

Koi Aaseeb he Is haseen Sher par

Sham roshan he magar suhani nahi

Mery Ban Jao

Wo jo bichra to meny jana log mar kar bhi jiya karty hain

Mery Ban Jao

Shikwy shikayaton ki nahi yeh zarf zarf ki baat he

Tery wehmo Guman me bhi Hum Nahi Or tu lafz lafz humy yaad he

Mery Ban Jao

Jhoti musaraton ko ye hadsa suna do

Hum Kham ki talkhiyon pay Imaan la chuky hain

Mery Ban Jao

Khusk tinkon se ghar bana rhy ho Mohsin

Ye janty bhi ho mizaj-e-yar aag jesa he

Mery Ban Jao

Meri takmeel main hain shamil kuch tery hissay

Hum agar tum se na milty tu adhory rh jaty

Mery Ban Jao

Wo hamari ghazal perh kar pehlu badal k boly Koi qalam cheny is sy ye to jaan ly chala he

Mery Ban Jao

Teri sorat ko daikhny waly apni ankhon se pyar karty hain

Mery Ban Jao

Teri talab ki hd ney asa janoon bakhsha

Hum khud ko bhol bethy tujhy yaad karty karty

Muhabat jeet jayegi ager tum maan jo to

Mery dill main tumhi tum ho ye akhr jaan jao to

Mery Ban Jao

Tot sa gya he meri chahton ka wajood

ab koi acha b lagy to ham izhar nahi karty

Mery Ban Jao

Such hy insan ki khuahishat ki koi had nahi meri un ginat khuwahishat dekho wo wo or bas wo

Mery Ban Jao

Yn to har rng ka mosam mera waqif he magar

Raat e tanhaiyan mujhe kuch alag hi janti hain

Mery Ban Jao

Pagal pan ki sari lakerain mery hath me ku
Jis ko chahon me hi chahon me hi chahon q

Mery Ban Jao

Urty hoy Parindon ko koi qaid nhi kar sakta
Jo apny hoty hain wo khud hi lot aaty hain

Mery Ban Jao

Sirf Aik hi bat Sekhi he un husn walon se hum ne
Haseen jis ki jitni ada he WO itna hi be wafa he

Mery Ban Jao

Nem shab dua-e-lab Tahajad Ki Ibadaton me
Khuda gawa he me ne tujhy manga he Fajar ki azano tak

Mery Ban Jao

Tumhari Duaon se shayed hojay mery liye aasaniyan peda
Bas yhi soch kar mujhy apni har dua me yaad rakhna

Mery Ban Jao

Tofan se Guzar kar bot mutmain they ham
Sahel pe doob jay gi kashti kabhi socha na tha

Mery Ban Jao

Uski Yaad Kuch Is tarha mery Dill se lipti he
K jesy kisi phool par titli ko neend aa jay

Mery Ban Jao

Ae khuda Likh do usy meri Qismat me
Meny Khoya to boht kuch he usy pany k liye

Mery Ban Jao

»»  read more

Friday 5 April 2013

Tum kiya jano muhabat k meem ka matlab


Tum kiya jano muhabat k meem ka matlab

Agar Milly to Mojzaa Na Mily To Moot

Mery Ban Jao

Wafa Ka zakham hai gehra to koibaat nahi

Lagao bhi to hamain uss se intaha ka tha

Mery Ban Jao

Ik dard tha kabhi unki aankhon me Mery baghair

Ik aah thi unki zubaan py mere bagair

Ro dete the mere intizaar me jo is kadar ke

Ek khoyi si junoon thi zindagi unki kabi mere baghair

Mery Ban Jao

Wafa ka zakham hai gehra to koi baat nahi

lagao to hamain uss se intaha ka tha

Mery Ban Jao

Toota ho dill to dukh hota he
Karke mohabbat kisi se ye dill rota he

Dard ka ehsaas to tab hota hai jab
Kisi se muhabat ho or uske dill mei koi oor hota hain

Mery Ban Jao

Tere Pyar me do pal ki zindagi boht he

Ye dunya mujhe jane ya na jany

Teri aankhain muje phchanain yahi boht hai

Mery Ban Jao
»»  read more