Showing posts with label ek Umeed. Show all posts
Showing posts with label ek Umeed. Show all posts

Tuesday 12 February 2013

Terey Ekhlaass Say Mohabbat Ki Hai


Terey Ekhlaass Say Mohabbat Ki Hai
Terey Ehssaas Say Mohabbat Ki Hai

Tu Merey Pass Nahin Hai Phir Bhi
Teri Yaad Say Mohabbat Ki Hai

Kabhi Tu Nay Bhi Mujhay Yaad Kya Ho Ga
Main Nay Un Lamhaat Say Mohabbat Ki Hai

Jin Main Ho Sirf Teri Aur Meri Baatain
Main Nay Un Auqaat Say Mohabbat Ki Hai

Aur Jo Mahekay Ho Sirf Teri Hi Mohabbat Say
Main Nay Un Jazbaat Say Mohabaat Ki Hai

Tujh Say Milna Tu Ab Khuwaab Sa Lagta Hai ???
Mohsin Nay Terey Intezaar Say Mohabbat Ki Hai
»»  read more

Us-Ki Aankhon Main Muhabbat Ka Sitaara Ho Ga



Us-Ki Aankhon Main Muhabbat Ka Sitaara Ho Ga,

Aik Din Aaye Ga Wo Shakhs Humaara Ho Ga.

Tum Jahan Meray Liye Seepiyan Chunti Hogi,

Wo Kisi Aur Hi Duniya Ka Kinaara Hoga,

Zindagi Ab Kay Mera Naam Shamil Na Karna,

Gar Ye Ta'y Hai Kay Yahi Khail Dubaara Ho Ga.

Jis Kay Honay Say Mere Saans Chala Karti Hai,

Kis Tarha Us-Kay Baghair Apna Guzaara Ho Ga.

Ye Achanak Jo Ujala Sa Huwa Jaata Hai,

DiL Nay Chupkay Say Tera Naam Pukaara Ho Ga.

Ishq Karta Hai To Din Raat Usay Sochna Hai,

Aur Kuch Zehan Main Aaya To Khasaara Ho Ga.

Ye Jo Paani Main Chala Aaya Hai Sunehri Sa Garoor,

Us-Nay Dariya Main Kahen Paun Utaara Ho Ga.


Kon Rota Hai Yahan Raat Kay Sannaton Main,

Meray Jaisa Hi Koi Hijr Ka Maara Ho Ga.

Mujh Ko Maloom Hai Jun-Hi Main Qadam Rakhun-Ga,

Zindagi Tera Koi Aur Kinaara Ho Ga.

Jo Mere Rooh Main Badal Say Garajtay Hain,

Us-Nay Seenay Main Koi Dard Utaara Ho Ga.

Kaam Mushkil Hai Magar Jeet Hi Lun-Ga Us-Ko..!

Meray Moula Ka Jun-Hi Ishaara Ho Ga...!~
»»  read more

Saturday 2 February 2013

Bas ik shab kay liy wasal-e-yaar main rehna

Bas ik shab kay liy wasal-e-yaar main rehna
Phir uskay baad reh-e-intizaar main rehna

Kabhi sukon kabhi khalafshaar main rehna
Humein azeez teray ikhtiyaar main rehna

Woh bay iraada teri khushbouon ko choo lena
Phir ik ajeeb se kaif-o-khumaar main rehna

Woh ik pal kay liye arzoo mohabbat ki
Phir ik umar safar kay ghubaar main rehna

Meri dua ko kahiin raasta nahiin milta
Jahaan bhi rehna isi intishaar main rehna
»»  read more

Wednesday 26 December 2012

Suno Tum Maan Jao Na

Suno Tum Maan Jao Na
Hamay Ab Yun Satao Na

Tumharay Bin Hamay Jena
Gawara Ab Nahi Hota

Tumhay Kaisay Kahun Tum Bin
Guzara Ab Nahi Hota

Hamay Apna Bana Lo Tum
Tumhara Ban K Rehna Hai

Mujhe Dukh Hijar Ka Janum
Nahi Ab Or Sehna Hai

Kayi Sapnay Sajaey Hain
Ab In Me Rang Bhar Do Na

Tumhay Meri Kasam Jannah
Tum Meray Sang Chal Do Na

Mujhay Ab Aur Rulao Na
Suno Tum Maan Jao Na ♥
»»  read more

Thursday 25 October 2012

hai aur kya jisay dekhien teray jamaal key baad

hai aur kya jisay dekhien teray jamaal key baad
tamam umr katti intezar mein apnii
koii bhi dukh na milla phir teray malal key baad
jawaab mil gya mujhey teri khamoshi sey
tumharey lafz kyoun khoye meray sawaal key baad
tumharey meray ta’aluq pey youn khizaa’n chaii
kbhii urooj nahii hai jisay zawaal key baad
main teri yaad key chehray ko dhaanp doon lekin
bachay ga kya meri jhoulii mein is kamaal key baad
wo ab kii baar milla is qadar takaluf sey
k kuch bhii na pooch paya main us sey haal key baad
»»  read more

Sunday 7 October 2012

Haakim-e-Shehr bata!


Haakim-e-Shehr bata!
Waqt k Shikanjon ne,
Khawhishon k phoolon ko,
Noch noch tora hai,
Kaya ye zulm thora hai...?

Dard k jazeeron ne,
Aarzu k jeevan ko,
Maqbaron mein dala hai,
Zulmatton k daaeray hain,
Log sab luterey hain,

Maut rooth bethi hai,
Zaat reza reza hai,
Taar taar daman hai,
Dard dard jeewan hai,
Shabnami si Palkain hain,
Qurb hai na doori hai,
Zindagi adhoori hai..
Ab yaqeen aya
k..

"Maut Bhi Zaroori Hai"
»»  read more

Monday 3 September 2012

Hum to saya tera ban jaen, agr tu chahe


Hum to saya tera ban jaen, agr tu chahe.
Ya kabhi bhi na nazar ayen, agr tu chahe.

Tu jo chahe to sar-e-aam Karen ehd-e-wafa.
Yon hi dunya se guzar jaen, agr tu chahe.

Mujh se milne min to janaan teri ruswai he.
Hum teri yad se mil ayen, agr tu chahe.

Tu jo keh de to pukaren sar-e-bazar tujhe.
Ajnabi ban k guzar jaen, agr tu chahe.

Zindagi varain tujhe teri ijazat gar milay
Teri chokhat pe hi mar jaen, agr tu chahe.
»»  read more

Friday 17 August 2012

um sadh ke daikhon tujhay, jhapkoon na palak bhi


dum sadh ke daikhon tujhay, jhapkoon na palak bhi
ankhon main samau loon tere lehjay ki damak bhi

ae ishq agar mujh ko tera izn ho mumkin
aaghosh main le loon tere paikar ki mehak bhi

ae zikr mere fikar ki taqdeer badal de
ae noor mere nutaq ke kaase main jhalak bhi

ae qatra-e-khoon mushaf-e-rukhsaar pe til bun
ae setar-e-tapan kaghaz-e-saada pe dehak bhi

dil arz-e-hunar hai tau badan urz-e-hunar hai
ae mere dil-e-saada mere tan main dharrak bhi

ye rang mère noir main rakhay gain ussi ne
gandhwai thi jis ne meri matti ki mehak bhi

uss shahar ki janib mere paon nahin uthte
iss dil woei door karay ga ye jhijhak bhi

kaya main ne kiya hai ke saza waar-e-rida hoon
mujh ko tau buhat hai teri kamli ki jhalak bhi
»»  read more

Tuesday 14 August 2012

ye jo nang thay ye jo naam thay mujhey kha gaye


ye jo nang thay ye jo naam thay mujhey kha gaye
ye khayal-e-pukh'ta jo khaam thay mujhey kha gaye

kabhi apni aankh se zindagi pe nazar na ki
wohi zaawiye ke jo aam thay mujhey kha gaye

mein ameeq tha ke pala hua tha sakoot mein
ye jo log mehv-e-kalam thay mujhey kha gaye

wo jo mujh mei aik ikaayi thi wo na jurr saki
yehi reza reza jo kaam thay mujhey kha gaye

ye aeyaan jo aab-e-hayat hai isey kiya kerun
ke neyhaan jo zehar ke jaam thay mujhey kha gaye

wo nageen jo khaatim-e-zindagi se phisal gaya
tu wohi jo merey ghulaam thay mujhey kha gaye

mein wo shu'la tha jisey daam se tu z'rur na tha
pe jo waswasay teh-e-daam thay mujhey kha gaye


jo khuli khuli thein adawatein mujhe raas thein
ye jo zehar-khand salaam thay mujhe kha gaye
»»  read more

Tuesday 24 July 2012

Meri Aarzu Hai


Meri Aarzu Hai,Tujhe Pyar Doon,
Tujhe Chahaton Se Nikhar Doon,,,

Kahin Aansuon Main Doob Kar,,,
Tujhe Har Ghari Main Qaraar Doon,,,

Main Junoon-e-Ishq Mein Jhoom Kar,,
Tujhe Qurbaton Ka Hisar Doon,,,

Mujhe Tumse Kitna Pyar Hai,,
Taaron ka Kaise Shumar Doon,,,,

Mere Har Taraf Teri Soch Hai,,,
Kaise Main Khud Ko Karar Doon,,,,

Aa Kar Phir Tum Kahin Jao Na,,,
Tumhein Apni Rooh Mein Yun Utar Doon
»»  read more

Sunday 8 July 2012

Sab Ka Ehsaan Uthaney Ki Zaroorat Kya Hai


Sab Ka Ehsaan Uthaney Ki Zaroorat Kya Hai 
Saath Tum Ho To Zamaney Ki Zaroorat Kya Hai 

Dil Se Tae Kar K Kisi Roz Alag Ho Jao 
Chorna Hai To Bahaaney Ki Zaroorat Kya Hai 

Kya Hua Uss Se Jo Pehla Sa Taaluq Na Raha 
Shehar Ko Chorr K Jaaney Ki Zaroorat Kya Hai! 

Masla Dono Ka Hai Tae Bhi Karen Ge Dono 
Shehar Ko Beech Main Laaney Ki Zaroorat Kya Hai 

Khwahishen Dil Se Nikal Aaen To Hairat Kaisi 
Inn Parindon Ko Thikaaney Ki Zaroorat Kya Hai 

Phool Ko Shor Machatey Kabhi Dekha Hai Qamar 
Tum Ho Khushboo To Btaney Ki Zaroorat Kya Hai?
»»  read more

Sunday 1 July 2012

Bohat samjhaati hun dil ko


Bohat samjhaati hun dil ko
shabon ko jaag k aksar
“ARAY NADAAN”

mohabbat kon krta hai
…mohabbat kis ko hoti hai?
sbhi apbi zaroorat ko

“MOHABBAT” naam dete hain
»»  read more

Thursday 28 June 2012

Kah!n Milay To Usay Yeh Kehna


Kah!n Milay To Usay Yeh Kehna
FaseeL ' E ' Nafrat Gira Raha Hoon
Ga'ay Dinon Ko Bhula Raha Hoon
vVoh Apnay vVaday Se Ph!r Gaya Hai
Ma!n Apna vVaada Nibha Raha Hoon
Kah!n Milay To Usay Yeh Kehna
Na DiL Ma!n Ko'i MaLaaL Rakhay
Hamesha Apna KhayaL Rakhay
vVoh Saray Gham Mujhe De Day
Tamaam Khushiyaan SambhaaL Rakhay
Kah!n Milay To Usay Yeh Kehna..!!
»»  read more

Tuesday 19 June 2012

Adhori Kooshish


Adhori Kooshish...! 

Tumhain Dil Say 
Bhulane Ki 
Shaa'oori Koshish Kar K 

Tumhain Na Yaad 
Karne Ki 
Zarori Koshish Kar K 

Main Khud Hee Thaak 
GayE Hon Ab 
Adhori Koshsih Kar K.....!
»»  read more

Tuesday 29 May 2012

Tere Aane Ki Jub Khabar Mehke


Tere Aane Ki Jub Khabar Mehke, 
Teri Khushbu se saara ghar mehke, 

Sham Mehke tere tasavvur se, 
Shaam ke baad phir seher mehke, 
Tere Aane Ki Jub Khabar Mehke, 
Teri Khushbu se saara ghar mehke, 

Wo grahi do grahi jahaan baithe, 
wo jagah mehke wo seher mehke, 
Tere Aane Ki Jub Khabar Mehke, 
Teri Khushbu se saara ghar mehke, 

Raat bhar sochta raha tujhko, 
Zehan-O-Dil mere raat bhar mehke. 
Tere Aane Ki Jub Khabar Mehke, 
Teri Khushbu se saara ghar mehke.

»»  read more

Wednesday 23 May 2012

Har Haar Ke Baad Aik Jeet Hoti Hai


Har Haar Ke Baad Aik Jeet Hoti Hai,
Main Us Jeet Ka Intzaar Karon Ga,
Us Ne Tou Kabhi Ehsaas Nahi Kiya,
Phir Be Main Uska Ehsaas Karon Ga,
Jitni Be Dard Main Gehrai Bhadhay Gi,
Main Usi Shiddat Se Khushi Ko Talash Karon Ga,
Har Haar Ke Baad Aik Jeet Hoti Hai,
Main Us Jeet Ka Intzaar Karon Ga,
»»  read more

Wednesday 16 May 2012

hath choote bhi to rishte nahi choda karte


hath choote bhi to rishte nahi choda karte
waqt ke shakh se lamhen nahi toda karte
jis ke aavaz mein silvat ho nigahon mein shikan
aisi tasvir ke tukde nahi joda karte
shahad jine ka mila karta hai thoda thoda
jane valon ke liye dil nahi thoda karte
lag ke sahil se jo bahata hai use bahane do
aisi dariya ka kabhi rukh nahi moda karte
waqt ke shakh se lamhen nahi toda karte
jis ke aavaz mein silvat ho nigahon mein shikan
aisi tasvir ke tukde nahi joda karte
shahad jine ka mila karta hai thoda thoda
jane valon ke liye dil nahi thoda karte
lag ke sahil se jo bahata hai use bahane do
aisi dariya ka kabhi rukh nahi moda karte
»»  read more

Saturday 5 May 2012

Kabi Tum Apni Mohabbat


Kabi Tum Apni Mohabbat Ka Aitbaar To Do
Mai Chahoon Toot K Tum Ko Ye Ikhtiyaar To Do

Guzarti Hi Nahi Mujh Se Ye Zindagi Tanha
Sahara Pyaar Ka Deker Isey Guzaar To Do

Mai Sochti Hoon Tumhare Bagair Kya Hoga?
Dil-o-Dimaag Per Ek Bhoj Hai Utaar To Do

Mere Khayal Ki Raahon Ko Keh-Kishaan Kar Do
K Roshni Se Meri Zindagi Sanwaar To Do

Umeed-e-Wafa Ghum-e-Hijar Ka Muda’wa Hai
Mai Intizaar Karoon Magar Zabt-e-Intizaar To Do
»»  read more

Thursday 3 May 2012

Peshaniyon pe likhe muqaddar nahi mile


Peshaniyon pe likhe muqaddar nahi mile
dastar kahan milenge jahan sar nahi mile
aavaragi ko dubate suraj se rabt hai
magrib ke bad hum bhi to ghar par nahi mile
kal aainon ka jashn hua tha tamam raat
andhe tamashbinon ko pathar nahi mile
main chahata tha khud se mulaqat ho magar
aaine mere qad ke barabar nahi mile
pardes ja rahe ho to sab dekhte chalo
mumkin hai vapas aao to ye ghar nahi mile
»»  read more

Wednesday 2 May 2012

Ek tamanna hai


Ek tamanna hai fakat mujh pey meharban raho
tum kisi aur ko dekho to bura lagta hai

Mery chahat ka takaza hai mere sath raho
ghair ka hath jo thamo tu bura lagta hai

Arzo hai tere her roop ko her pal dekhon
tum mere pas sey utho tu bura lagta hai

Roz-e-shab aaj b perwa hai tumhari mujh ko
tum kisi aur ko socho tu bura lagta hai

Ye mery rooh tarasti hai tumhari khushbo ko
tum kahin aur ja k mehko to bura lagta hai
»»  read more