Showing posts with label best Urdu Ghazal. Show all posts
Showing posts with label best Urdu Ghazal. Show all posts

Sunday 31 August 2014

Tum Ajeeb Larki Ho

Tum Ajeeb Larki Ho
»»  read more

Sunday 8 June 2014

Aaj Bi Us Ki Aankhon Mein Raaz Wohi Tha


Aaj Bi Us Ki Aankhon Mein Raaz Wohi Tha
Chehra Wohi Tha Chehra Ka Libas Wohi Tha,

Kese Us Ko Bewafa Keh Doon Yaro
Aaj Be Us Ke Dekhne Ka Andaaz Wohi Tha.



best Urdu Ghazal, Urdu Ghazal, Urdu New Poetry, 
Urdu Sms, Urdu Image Poetry, 
»»  read more

Hay Zindagi Yeh Lamha Ji Lene De


Hay Zindagi Yeh Lamha Ji Lene De
Oh Pehle Se Likha Kuch Bhi Nahin
Roz Naya Kucch Likhti Hai Tu
Jo Bhi Likha Hai Dil Se Jiya Hai
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De,

Maasoom Si Hasi Bewaja Hi Kabhi
Hoton Pe Khil Jaati Hai
Anjaan Si Khushi Behti Huvi Kabhi
Saahil Pe Mil Jaati Hai
Yeh Anjaana Sa Darr Ajnabee Hai Magar
Khoobsurat Hai Ji Lene De
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De,

Dil Hi Mein Rehta Hai Aankhon Mein Behtha Hai
Kachcha Sa Ek Khwaab Hai
Lagta Sawal Hai Shayad Jawab Hai
Dil Phir Bhi Betaab Hai
Yeh Sukoon Hai To Hai
Yeh Junoon Hai To Hai
Khoobsurat Hai Ji Lene De
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De
Pehle Se Likha Kuch Bhi Nahin
Roz Naya Kucch Likhti Hai Tu
Jo Bhi Likha Hai Dil Se Jiya Hai
Yeh Lamha Filhaal Ji Lene De.
»»  read more

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hon


Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hon Na Kisi Ke Dil Ka Qarar Hon
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Skay Main Wo Aik Musht-e Ghubar Hon,

Mera Rang Rop Bigar Gya, Mera Yar Muj Se Bichar Gaya
Jo Chaman Khazan Se Ujar Gaya, Main Usi Ki Fasal-e Bahar Hoon,

Na To Main Kisi Ka Habib Hon,Jo Jur Gya Wo Dyar Hoon
Pye Fatih Koi Aye Kun, Koi Char Phol Charhaye Kun,

Koi Aa Ke Shama Jalaye Kun Main Wo Be Kasi Ka Mazar Hoon
Main Nahin Hoon Nagma-e Janfran, Muje Sun Ke Koi Kare Ga Kiya
Main Baray Brog Ki Hoon Sada Main Bare Dukhi Ki Pukaar Hoon.



Bahadur Shah Zafar, best Urdu Ghazal, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Sms, Urdu Sms, 
»»  read more

Sunday 1 June 2014

Tera kasoor nahi mera tha


Tera kasoor nahi mera tha
Maine tujhko apna samjha tha,

Dekh ke tere badle tewar
Main to usi din ro beitha tha,

Ab main samjha ab yaad aaya
Tu us din kyo chup chaap sa tha,

Tujhko jaana hi tha lekin
Mile bagair hi kya jaana tha,

Ab tujhe kya kya yaad dilaoon
Ab to woh sub kuchh hi dhoka tha,

Wohi hui hai jo honi thi
Wohi mila hai jo likha tha,

Dil ko yun hi sa ranj hai warna
Tera mera saath hi kya tha,

Kis kis baat ko raoon AMIT
Apna kehna hi itna tha.
»»  read more

Us Ka To Har Andaaz Nirala Sa Lagta Hai


Us Ka To Har Andaaz Nirala Sa Lagta Hai
Qatil Hai Mera Aur Masiha Sa Lagta Hai,

Wo Jis Se Koi Khaas Ta’aruf Bhi Nahi Hai
Jub Bhi Nazar Aa jaye to Apna Sa Lagta Hai,

Hum UsKe Bina Jaise Mukammal Hi Nahi
Jo Kaam Bhi Karte Hai Adhura Sa Lagta Hai,

Main UsKi Har ek Baat Ko Kis Tarha Na Manoon
Wo Jhoot Bhi Bole To Sachcha Sa Lagta Hai,

Ek Umar Hui Toote Hue Dil Ko Hamare
Ye Zakhm Magar Aaj Bhi Kal Ka Sa Lagta Hai,

Itni Si Khata Par Keh Tera Naam Liya Tha
Har Shaks Mere Khoon Ka Pyasa Sa Lagta Hai.
»»  read more

Tuesday 27 May 2014

Mujhe Apnay Badan Ki Khusbhu Se Masroor Kardo


Mujhe Apnay Badan Ki Khusbhu Se Masroor Kardo
Mujhe Apni Nazuk Bahon Mein Mehsoor Kardo,

Seenay Se Laga K Saaray Gham Door Kardo
Main Tumse juda Na Ho Paon Itna Majboor Kardo,

Surkh Honton Se Pilao Ya In Mast Ankhon Se
Main Tere Jism Se Lipta Rahun Itna Choor Kardo,

Leke Bahon Mein Tujhe Honton Se Itna Choom Lon
Faslay Sharam-o-Haya K Tum Bhi Door Kardo,

Meri Nas Nas Mein Bas Jaye JAAN Pyaar Tera
Main Kissi Or Ko Na Dekhun Itna Maghroor Kardo.
»»  read more

Thursday 22 May 2014

Labon pe Phool khilte hai kisi ke Naam se pehle


Labon pe Phool khilte hai kisi ke Naam se pehle
Dilo ke Deep jalte hai Chiragh-e-Shaam se pehle,

Kabhi Manzar badalne par bhi kissa chal nahi pata
Kahani khatam hoti hai kabhi Anjaam se pehle,

Ye hi Taare Tumhaari Aankh ki Chilman mein rehte the
Ye hi Suraj nikalta tha Tumhare Baam se pehle,

Hui hai Shaam Jangle mein Parinde laut-te honge
Ab inko kis tarah roke Nawaah-e-Daam se pehle,

Ye saare Rang Murdaa the Tumhaari Shakl banne tak
Ye Saare Harf Muhmal the Tumhaare Naam se pehle,

Hua hai wo agar Munsif to Ahtiyatan Hum
Saza Tasleem karte hai kisi Ilzam se pahle.
»»  read more

Saturday 17 May 2014

Apnay hone pay na hone ka ghuma hota hy


Apnay hone pay na hone ka ghuma hota hy
Lamha lamha mujhe ehsas-e-ziyan hota hy,

Koi hota hy jo karta hy kahin pay sazish
Ter ki pusht pay qirdar-e-kaman hota hy,

Bhool jana usay muskil tu nahi hy laykin
Kam assan bhi magar hum say kahan hota hy,

Main nay dekha hy kisi khuf ka khadsha dil main
Raat k pechlay pehar barh kay jawan hota hy,

Dil main hoti hy baharon ki kasak bhi laykin
Es k hisay main magar khuf-e-khizan hota hy.




best Urdu Ghazal, Sad Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Sms, 
Urdu Poetry, Heart Touching Poetry,
»»  read more

Wednesday 14 May 2014

Shehr-e-Muhabbat hijr ka mousam,ehed-e-wafa or mein



Shehr-e-Muhabbat hijr ka mousam,ehed-e-wafa or mein
Tu to is basti se khush khush chala gaya, or mein,

Tu jo na ho to jaise sab ko chup lag jati hai
Apas mein kya batein kertey raat, diya or mein,

Sair-e-chhaman adat thi pehley ab majboori hai
Teri talash mein chal pertey hein bad-e-saba or mein,

Jisko dekho teri hava mein pagal phirta hai
Werna hum mashrab to nahi they khalq-e-khuda or mein,

Aik to wo humraaz mera hai phir tera maddah
Bas tera hi ziker kia kertey hein Zia or mein,

Aik zamaney bad ‘Faraz’ ye shair kahey meine
Ik muddat se miley nahi hein yaar mera or mein.
»»  read more

Noshi gilani, Noshi Gelani Poetry, Koi mujhko mera bharpoor sarapa la de,


Koi mujhko mera bharpoor sarapa la de
Mere bazoo mmeri aankhen mera chehra la de,

Aesa darya jo kisi aur samandar mein girey
Is se behtar hai ke mujhko mera Sehra la de,

Kuch nahin chahiye tuhj se ae meri umre rawan
Mera bachpan mera jugnoo meri Gurya la de,

Nayya mosam meri beenai ko tasleem nahi
Meri aankhon ko wahi khwab purana la de,

Jiski aankhen mujhe andar se bhi parh sakti ho
koi chehra to mere sheher mein aesa la de,

Kashti e jan to bhanwar mein hai kai barson se
Ae khuda ab to dubo de ya kinara la de.
»»  read more

Wednesday 7 May 2014

Adhuri Baatein Jo Kar Gye Ho


Adhuri Baatein Jo Kar Gye Ho
Merey He Dil Mei Utar Gye Ho,

Kis Ki Chahat Ka Ye Asar Hy
Ke Raiza Raiza Bikhar Gye Ho,

Tum Hi To Ho Jo Hamary Dil Ki
HadoN Ko Chu Kr Guzar Gye Ho,

Hamara Thaamo Ge Haath Kia Tm
Abhi Se Dunya Se Dar Gye Ho,

Chaley Gye Ho Nazar Jhuka K
Humein Deewana Sa Kr Gye Ho,

Bhool Bethy Ho Ehed Saary
Abhi Se Kiu Tm Mukr Gye Ho,

Dhoondtee Hy Nazar Ye Tm Ko
Aa Bhi Jaao Kidhr Gye Ho.
»»  read more

Saturday 3 May 2014

Koi raat poonam to koi hai amavas,


Koi raat poonam to koi hai amavas
Chandani uski jo chand pana seekh le,

Yun to sabhi aaye hain rote huye jahan me
Par sara jahan hai uska jo muskurana seekh le,

Kuchh bhi najar na aaye andheron me rah kar
Roshni hai uski jo shama jalana seekh le,

Har gali me mandir, har raah me maszid hai
Par khuda hai uska jo sar jhukana seekh le,

Har seene me dil, har dil me pyar hai
Pyar milta hai usko jo dil lagana seekh le,

Logo ka kafila usi ke saath hota hai
Jo sachche dil se rishte nibahana seekh le,

Khushi ki talash me zindagi guzar jati hai
Par khushiyan unhi ko milti hain jo doosre ke gam mitana seekh le.
»»  read more

Tuesday 29 April 2014

Lagta Nahi Je Mera Ujra Dyar Main,


Bahadur Shah Zafar

Lagta Nahi Je Mera Ujra Dyar Main
Kis Ki Bni Hai Aalm-e Na Paydar Main,

Bulbul Ko Pasban Se Na Sayad Se Gila
Qismat Mai Qaid Thi Lakhi Fasl-e Bhar Ne,

Keh do In Hasraton Se Khain Aur Ja Bsain
Itni Jga Kahan Hai Dil-e Dagh Dar Main.
»»  read more

Saturday 26 April 2014

Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi Tou Na Thee, Bahadur Shah Zafar, Bahadur Shah Zafar Best Poetry, Urdu Poetry By Bahadur Shah Zafar,


Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi Tou Na Thee
Jaisii Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisii tou Na thee,

Le gaya Chhiin Ke aaj kaun tera sabr-o-qarar
Beqarai tujhe ai dil kabhi aisii tou na thee,

Un kii aankhon ne khuda jaane kia kya jaadu
Ke tabiyat meri maa_il Kabhi aisi tou na thee,

chashm-e-qaatil merii dushman thii hameshaa lekin
jaise ab ho ga_ii qaatil kabhii aisii to na thii,

aks-e-rukh-e-yaar ne kis se hai tujh ko chamakayaa
taab mein maah-e-kaamil kabhi aisis tou na thee,

Kya sabab hai tu jo bigata hai zafar se har baar
Khuu teri huur-e-shamaail kabhi aisi tou na thee.


English Translation of ( Baat karni )

It was never so difficult for me to converse as it is now
Your party never was like this as it is now,

Who has usurped you patience and peace
You never were as restless as you are now,

Her eyes, my lord, cast what a spell on me
I never was as intoxicated as I am now,

Those killer eyes were always my enemy
but never were as fatal as it is now,

What has made the face of beloved bright?
Shine in you, O Moon, never was as it is now,

What is the reason that you are annoyed with ‘Zafar’
Your habit, O blazing fairy, never was like as it is now,
»»  read more

Sunday 20 April 2014

Haqeeqat Hai Yaqeen Kar Lo


Haqeeqat Hai Yaqeen Kar Lo
Main Us Ko Bhool Kar Khush Hon,

Mohabbat Mar Chuki Ab To
Main Us Ko Bhool Kar Khush Hon,

Badalti Rut Ki Wajah Se Tabiat Kuch Bojhal Si Hai
Youn Mera Haal Mat Poocho,

Main Us Ko Bhool Kar khush Hon
Mere Lehjay Par Mat Chonko,

Meri Aankhon Mein Mat Jhanko
Youn Hairat Se Na Dekho Main,

Us Ko Bhool Kar Khush Hon
Tumhain Kia Weham Hai,

Kion Rat Bhar Milne Nahi Aati
Aaye Meri Neend Ki Pario Mein,

Us Ko Bhool Kar Khush Hon
Bhala Kion Roz Banhain,

Wahan Kion Mujh Se Milne Aati Hai
Tum Us Ki Yad Se Keh Do,

Main Us Ko Bhool Kar Khush Hon
Udasi Sare Ghar Mein Phailti Jati Hai Gham Ban Kar,

Dar-o-Deewar Pe Likh Do
Main Us Ko Bhool Kar Khush Hon.
»»  read more

Pooch ankhon se Kiya kitna intezar tera


Pooch ankhon se Kiya kitna intezar tera
Ban k dharkan dil mein basa piyar tera,

Apni palkon ki Chaaon mein saja le mujh ko
Maar dale na Qasam se ye khumar tera,

Mera mehboob khila hai aaj pholon ki tarah
Karon shukriya main kese aye bahar tera,

Rukh_e_Mehtab se zara zulf hata kar to dekho
Thehra hai aaj waqt bhi karne deedar tera,

Yunhi saya ban k zindagi bhar Sang chalna
Mujhe sari duniya Se ziyada hai Aitbaar tera.
»»  read more

Abhi to raat baqi hai ye dhal jaye to so jana


Abhi to raat baqi hai ye dhal jaye to so jana
Ghari bhar ko dil-e -nadan sambhal jaye to so jana,

Ye jalte hont or ye neend mein doobi hui ankhen
Zara tehro mujhe bhi neend aa jaye to so jana,

Haseen ho tum tumhein kia gham tumhe to neend pyari hai
Hamara haal mat poocho k hum par raat bhaari hai,

Hamare sar pe Qayamat hai ye tal jaye to so jana
Abhi to raat baqi hai ye dhal jaye to so jana.
»»  read more

Sunday 13 April 2014

Aaj Kuch Waqt K Liye Paas Meray Kash Tum Aa Jao


Aaj Kuch Waqt K Liye Paas Meray Kash Tum Aa Jao
Bahut Tanha Hon Main Aaj Kash Tum AaJao,

Kabhi Khud Ko Itna kamzor Na Honay Dia Maine
Par AaJ Bikhar Gya Hon Main Kash Tum Aa Jao,

Kaafi Din Se Ji Raha Hon Bin Teray
Aaj Nai Guzar Raha Ek Pal Kash Tum Aa Jao,

Waqat Ki Raftar B Jaisay Tham Si Gai Hai
Tham Na Jain Meri Saans Kash Tum Aa Jao.
»»  read more

Zakhmon Se Gosha-e-Dil-e-Veeran Saja Liya, Mohsin Naqvi, Mohsin Poetry,


Zakhmon Se Gosha-e-Dil-e-Veeran Saja Liya
Hum Nay Khizan Men Jashn-e-Baharan Mana Liya,

Suraj Se Chaal Chal k Bayaban Ki Dhoop Ne
Ek Bay Kafan Darakht Ka Saya Chura Liya,

Barbadiyon Ki Raat! Meri Bebasi To Dekh
Girtay Huay Makan Nay Mera Aasra Liya,

Yaaron Ka Zikr Kiya k Wafa Ki Talash Men
Hum Nay To Dushmano Ko Bhi Dil Men Basa Liya,

Aahat Suni Hawa Ki To Mohsin Nay Khauf Se
Jalta Huwa Diya Tah-e-Daama Chupa Liya.
»»  read more