Showing posts with label Bewafai. Show all posts
Showing posts with label Bewafai. Show all posts

Tuesday 12 February 2013

Subah Hote Hi Tere Shehr Se Jana Hai Mujh Ko



Subah Hote Hi Tere Shehr Se Jana Hai Mujh Ko",

"Aaj Ki Raat Zra Mujh Ko Mana Kar Sona",

"Agar Ho Sake To Lota De Mujh Ko Meri Hansi",
... 
"Ya Saari Raat Mujh Ko Rula Kar Sona",

"Dia Yaad Ka Koi Bujh Na Jaye Kahiin",

"Koi Shama Piyar Ki Jala Kar Sona",

"Me Nahi Kehti Tu Reh Umar Bhar sath Mere",

"Bas Aaj Ki Raat Apna Bana Kar Sona",

"Umar Bhar Rahon Gi Tere Qadmon Me"

"Bas Aaj Ki Raat Tum Seene Se Laga Kar Sona".....
»»  read more

Saturday 2 February 2013

Fiza main jaisay koi khushbouon ka raqs jaaga hai

Fiza main jaisay koi khushbouon ka raqs jaaga hai
Sunheri titliyaan phir se gulaabon kay
 labon ko choo kar aayi hain
Darakhton ki khuli banhon
 main saye baat kartay hain
Udaasi ashak ankhon main
 liye ab door nikli
Isi dhaltay hue din ki mundeeron per
Chiraagh-e-shaam jalta hai
Tu dast-e-meherbaan jaise..

Meray aanchal kay konay se wafa ka 
aik lamha bandh deta hai
Meray sehen-e-hunar main
 hurf-o- maani ki talaawat saans leti hai
Koi roshan sitarah aasmaan per muskuraata hai
Samander geet gaata hai

Kamala-e-ahd-e-masti hai
Jahaan pe mausam-e-jaan bhi hairaan lagta hai
Koi chehra meray dil kay badan se aan lagta hai
Yeh hi chupkay se kehta hai

Mujhay tumse mohabbat hai
Mujhay tumse mohabbat hai
»»  read more

Friday 9 November 2012

Main Ne Poocha Kaisay Ho?

Main Ne Poocha Kaisay Ho?
Badlay Ho Yan Waisay Ho?

Roop Wohi Andaz Wohi
Ya Phir Is Main Koi Kami?

Hijer Ka Kuch Ihsaas To Ho ga
Koi tumharay pass to ho ga?

Main bichra yeah majboori thi
Kab manzoor mujhe doori thi

Sath Hamara Kab choota
Rooh ka rishta kab toota

Ankh se jo Aansoo behte hain
Tum ko khabar hai kia kehte hain?

Main ne kaha awaz tumhari
Aaj bhi hai humraaz hamari

Phool Wafa ke khil jaien gay
Ik din hum phir mil jaien gay.
»»  read more

Muhabbat Kernay Walay Tu

Muhabbat Kernay Walay Tu
Hamesha Saath Rehtay HaiN

Muhabbat Main Judaee Ka
Koi Mausam Nahin Hota

Zameen WalooN se Yeah Keh Ker
Falak se Dhall Gaya Sooraj

Ujaala BaanT Dainay se
Ujaala Kam Nahin Hota

Mujhay Tum Chorr Ker Khud bhi
Tu Saari Umer Tarpe ho ...

Koi Aesi Saza Datien,
Tumhain Tu Gham Nahin Hota
»»  read more

Thursday 25 October 2012

Zakham muskurate hen ab bhi teri aahat par

Zakham muskurate hen ab bhi teri aahat par.
Dard bhool jate hen ab bhi teri aahat par.

Shabnami sitaron par phool khilne lagte hen.
Chaand muskurate hen ab bhi teri aahat par.

Umar kat di lakin bachpana nhi jata.
Hum diye jalate hen ab bhi teri aahat par.

Teri yad aye to neend jati rehti he.
Hum khushi manate hen ab bhi teri aahat par.

Ab bhi teri aahat par chaand muskurata he….
Khwab gungunate hen ab bhi teri aahat par.

Tere hijar min hum par ik azab taari he.
Chonk chonk jate hen ab bhi teri aahat par.

Ab bhi teri aahat par aas lout aati he.
Ashk hum bahate hen ab bhi teri aahat par
»»  read more

Wo mohabbat min ye kesi wafa de gaya

Wo mohabbat min ye kesi wafa de gaya.
khush rahon use bhool kar ye dua de gaya.

Koi raqeeb hota to min bhool jati use.
Habib ban kar bhi wo mujhe jafa de gaya…..

Chala gaya wo guzre hoe mosam ki trah.
Mujhe tanhai min jine ki baqa de gaya.

Chaand ban kar utarna tha mere aangan min…..
Wo dard ki barish aur thandi hawa de gaya.

Kitna mushkil he khud ko samjhana.
Jab mout se bhi barh kar koi saza de gaya…
»»  read more

Sunday 7 October 2012

Ye fakhar to hasil hai buray hain k bhalay hain


Ye fakhar to hasil hai buray hain k bhalay hain
Do char qadam hum bhi tere sath chalay hain

Jalna to charagho k muqadar hai azal se
Ye dil k kanwal hain k bujay hain na jalay hain

Nazuk thay kahin rango baye saman se
Jazabat k adab k sanchay main dalay hain

Thay kitnay sitaray k sahar sham he dobay
Hangam sahar kitnay he khursheed dhalay hain

Jo jheel gaye huns k kari dhoop k taywar
Toro ki khanak chaon main wo log jalay hain

Jab tere tasawar ne jalai nahi shamain
Lamhat wohi apany dil o jan pay khilay hain

Khushbo se to andaza e shaban nahi hota
Wo kon se nagmay thay k pholo main dhalay hain

Ik shama bujai to kai our jala lin
Hum gardishe doran se bari chal chalay hain
»»  read more

گُریز شب سے، سحر سے کلام رکھتے تھے


گُریز شب سے، سحر سے کلام رکھتے تھے
کبھی وہ دن تھے کہ زُلفوں میں شام رکھتے تھے

تمھارے ہاتھ لگے ہیں تو جو کرو سو کرو
وگرنہ تم سے تو ہم سو غلام رکھتے تھے

ہمیں بھی گھیر لیا گھر زعم نے تو کھُلا
کُچھ اور لوگ بھی اِ س میں قیام رکھتے تھے

یہ اور بات ہمیں دوستی نہ راس آئی
ہُوا تھی ساتھ تو خُوشبو مقام رکھتے تھے 

نجانے کون سی رُت میں بھچڑ گئے وہ لوگ
جو اپنے دل میں بہت احترام رکھتے تھے

وہ آ تو جاتا کبھی ، ہم تو اُس کے رستوں پر
دئے جلائے ہوئے صبح و شام رکھتے تھے


نوشی گیلانی
»»  read more

Friday 7 September 2012

Tere Pyaar Mein Rusva Hona Kitna Acha Lagta Hai


Tere Pyaar Mein Rusva Hona Kitna Acha Lagta Hai,
Qadam Qadam Par Thokar Khana Kitna Acha Lagta Hai

Roo Leta Hoon Hans Leta Hoon Tere Aane Jane Par,
Tera ghar Mein Aana Jana Kitna Acha Lagta Hai

Main Apna Fasaana Khud Hi Kehta Sunta Rehta Hoon,
Achi Yaadon Ko Duhrana Kitna Acha Lagta Hai

Tere Hi Raste Par Chalna Teri Hi Manzil Ko Jana,
Tera Hi Har Dam Gun gana Kitna Acha Lagta Hai

Jin Chashmon Ka Paani Dil Duniya Seerab Kare,
Un Chashmon Ka Paani Peena Kitna Acha Lagta Hai

Sab Logon Ki Batein Sun na Aur Chup Rehna,
Us kai Khatir Har Dukh Sehna Kitna Acha Lagta Hai

Yun To Duniya Mein Sab Batein Hoti Rehti Hain
Lekin Kuch Batoon Ka Hona Kitna Acha Lagta Hai
»»  read more

Monday 6 August 2012

Wafa Ruswa Nahi Karna


Wafa Ruswa Nahi Karna
Suno Aisa Nahi Karna

Mai Pehlay Hi Akela Hoon
Mujhay Tanha Nahi Karna

Judai Aa Bhi Jaye To
Ye Dil Chota Nahi Karna

Bahut Masroof Ho Jana
Mujhay Socha Nahi Karna

Bharosa Bhi Zaroori Hai
Magar Sabko Nahi Karna

Muqaddar To Muqaddar Hai
Kabhi Shikwa Nahi Karna

Meri Takmeel Tum Se Hai
Mujhay Aadha Nahi Karna.
»»  read more

Tuesday 31 July 2012

us K Nazdik Gham-e-Tarke wafa kuch b nahi


us K Nazdik Gham-e-Tarke wafa kuch b nahi.
Mutmin aise hai wo jesy hua kuch b nahi.

Ab To Hatho Se Lakirein Bhi Mite jati hain.
Us Ko Khor Kar To Mere Pass Raha Kuch b nahi.

Kal Bicharna hai To Ahd-e-wafa soch k bandh.
Abi Agaz-e-Mohabat hai Giya Kuch bhi Nahi.

Mai To is waste Chup Hoon K Tamasha Na Bane.
Tu Samajta hai Muje Tujse Gila Kuch B Nahi.

»»  read more

Thursday 12 July 2012

MeIn KehTa HoOn Yeh DuNIya HaI


MeIn KehTa HoOn Yeh DuNIya HaI ......
YaHaN Har ShakS MatLub Ki ....
HadOoN Tak Sath Chalta Hai ...
JunHi MauSam BadaLTa Hai ....
MuHabbaT K SaBhi DaaWaaY ....
SaBhI QaSmEin ...
SaBhI WaaDaY ....
AcHaNak TooT JaTay HaIn ...
MeIn KehTa HoOn Yeh DuNIya HaI ......
YaHaN HaR MooR Pay ApnI ...
SaDa AaNkHeIN KhuLi Rakhna ...
Koi KitnA BhI AcHa Hoooo ....
KoI kitnA BhI SucHaaa HooOo ...
MaGaR AitbaaR Mat KaRna ....
MeIn KehTa HoOn Yeh DuNIya HaI ......
YaHaN PaY PyaaR Mat KarNa 
»»  read more

Friday 6 July 2012

dil kabhi soorat-e-halaat sy bahir nahi gaya


dil kabhi soorat-e-halaat sy bahir nahi gaya.
men mohabat main bhi Oqaat sy bahir nahi gaya.


aik too hy k jahaN bhr sy ta'aluq tera,
aik men hon k teri zaat sy bahir nahi gaya.


soch na koi teri soch sy hutt kar sochi,
tuzkiraa koi teri baat sy bahir nahi gaya.


murhala tujh sy judai ka bhi aa puhncha mager,
men bhi pehli molaaqat sy bahir nahi gaya.


aao sooraj ko bataty hen tamazat kiya hy,
chaand kiya hy wo raat sy bahir nahi gaya
»»  read more

Monday 21 May 2012

Kitni saji hai bewafai tere masoom chehre par


Kitni saji hai bewafai tere masoom chehre par,


hum bhi pagal thay ke iss ada pe marr gaye..
»»  read more

Monday 14 May 2012

chandani chat pe chal rahi hogi


chandani chat pe chal rahi hogi
ab akeli tahal rahi hogi

phir mera zikr aa gaya hoga
wo barf-si pighal rahi hogi

kal ka sapana bahut suhana tha
ye udasi na kal rahi hogi

sochata hun ki band kamare mai
ek shama-si jal rahi hogi

tere gahanon si khankhanati thi
bajare ke fasal rahi hogi

jin havaon ne tujh ko dularaya
un mai meri gazal rahi hogi
»»  read more

Saturday 5 May 2012

Kaheen Milay Tu Us Say Yah Kehna


Kaheen Milay Tu Us Say Yah Kehna

Faseel E Nafrat Ghera Raha Ho…
Main Gayee Dino Ko Bhoola Raha Ho.

Woh Apnay Waday Say Phir Gaya Hai..
Main Apnay Waday Nibha Raha Rahoo..

Kahee’n Milay Tu Us Say Yah Kehna..


Na Dil May Koi Malal Rakhay
 Hamesha Apna Kheyal Rakhay…
Apnay Saray Ghum Mojko Day Day…
Or Tamam Khushiyan Sambhal Rakhay…

Kahee’n Milay Tu Us Say Yah Kehna..

Main Tanha Sawan Beeta Choka Hoo..
Main Saray Armaan Jala Choka Hoo..
Jo Sholay Bharkay Thay Khowahisho’n K 
»»  read more

Wednesday 2 May 2012

jab gardishon mein jam the


jab gardishon mein jam the
kitne hasin ayyam the

hum hi na the rusava faqat
wo aap bhi badnam the

kahate hain kuch arsa hua
qabe mein bhi asanam the

anjam ke kya sochate
na-vaqif-e-anjam the

ahad-e-javani mein “adam”
sab log gulandam the
»»  read more

Sunday 22 April 2012

jis tarah shabnam


jis tarah shabnam
raat k ghup andheray main
anjaani raahon par chal kar
kissi phool ki saij pe sajti hai
bilkul ussi tarah
main bhi deis, deis ka pardesi
teray naam ki surkhi ban-na chaahon
yeh jantay huwaye bhi
k subah hotay hi
yeh shaffaaf mootiyun ka shehar
baad e naseem main ghum ho jayega
aur suraj ki pehli kiran se
mom ka shehar pighal jayega,.
»»  read more

Friday 20 April 2012

Log kya khoob wafaoon ka silla detey hein


Log kya khoob wafaoon ka silla detey hein 
Har ek moor per zakham niya detey hein 

Tum sey tu khair ghari bhar ki mulaqat rahi 
Log sadiyoon ki rafaqat ko bhula detey hein 

Kaisey mumkin hai dhuaan bhi na ho aur dil bhi jaley 
*** perti hai tu pather bhi sada detey hein 

Kaun hota hai museebat mein kissi ka ai dost! 
Aag lagti hai tu patey bhi hawa detey hein 

Jin pey hota hai buhat dil ko bharossa 
Waqat perney per wohi log daga detey hein.

»»  read more