Thursday 8 May 2014

Inspirational Islamic Quotes and Hadees in Urdu with Images

There are best Islamic healths and inspirational quotes and sayings with photos and wallpapers in Urdu language specially for Facebook Timeline Post Status. these are totally free and easy to download and share on social media timelines. 

Jo shakhs bhi ye post parhy wo salam ka jawab zaroor dy

Assalam-o-alaikum: "Jo shakhs bhi ye post parhy wo salam ka jawab zaroor dy...!!!"



Assalam-o-Alaikum Warahma-tullahi-wa-barakatoho

"Assalam-o-Alaikum Warahma-tullahi-wa-barakatoho...!!!"



Toba ka khayal khush bakhti ki alamat ha Kiun ky jo apny gunaho ko gunah na samjhy wo badkismat ha

Toba Ka Khayal"Toba ka khayal khush bakhti ki alamat ha Kiun ky jo apny gunaho ko gunah na samjhy wo badkismat ha...!!!"



Muaaf kar deny sy insan ki apni rooh paak hoti ha

"Muaaf kar deny sy insan ki apni rooh paak hoti ha...!!!"



Orat ki khobi do baato mein hoti ha, Usey koi na mahram na dekhy aur wo kisi na mahram ko na dekhy

"Orat ki khobi do baato mein hoti ha, Usey koi na mahram na dekhy aur wo kisi na mahram ko na dekhy...!!!"
(Hazrat Fatima)



Zuban ka wazan buhat hi halka hota ha magar buhat kam log he sanbhal paaty hain.

Farman-e-Ali (R.A) "Zuban ka wazan buhat hi halka hota ha magar buhat kam log he sanbhal paaty hain...!!!"



Apny rab ky karam ko dekh. jo farishty sham ko tery gunah usky pass lekar jaty hain wo subha un hi ky hath tera rizq bhejta ha

Ay dekhny waly!!!: "Apny rab ky karam ko dekh. jo farishty sham ko tery gunah usky pass lekar jaty hain wo subha un hi ky hath tera rizq bhejta ha...!!!"



Logon ki takleef mein shareek na hona aur unsy imdad ki umeed rakhna

Aik Ghalti Ki Nishandahi: "Logon ki takleef mein shareek na hona aur unsy imdad ki umeed rakhna...!!!"



Badla leny sy pahly ye zaroor khayal kar liya karo ky tum apny khuda ky nazdeek kitny qusoor wara ho

"Badla leny sy pahly ye zaroor khayal kar liya karo ky tum apny khuda ky nazdeek kitny qusoor wara ho...!!!"




"Beshak JANNAT maan ky qadmo taly ha LEKIN Jannat ka darwaza tab hi khuly ga jab BAAP raazi hoga...!!!"



Chun ly mujhy bhi tery sajda karny waly bando mein ya rab Kab tak bhagta rahon ga tujhsy door teri hi dunya mein

Sajda: "Chun ly mujhy bhi tery sajda karny waly bando mein ya rab Kab tak bhagta rahon ga tujhsy door teri hi dunya mein...!!!"



Darwaish ko talab thi mataaye khuloos ki Makhlooq chup rahi ky ye mushkil sawal tha

"Darwaish ko talab thi mataaye khuloos ki Makhlooq chup rahi ky ye mushkil sawal tha...!!!"



Ae mery rab! tu jo bhalai bhi meri taraf nazil kary bilashuba main uska muhtaj ho

Faragiye Rizq Ki Dua: "Ae mery rab! tu jo bhalai bhi meri taraf nazil kary bilashuba main uska muhtaj ho...!!!"
(Sorah: Qasas 24/28)



Ghairo sy manga to zillat mili, ALLAH taala sy manga to izzat mili

"Ghairo sy manga to zillat mili, ALLAH taala sy manga to izzat mili...!!!"


Ghalti man'ny aur gunah chorny mein kabhi dair na karo, Kiun ky safar jitna taveel hota jaye ga wapsi utni hi dushwar hogi

"Ghalti man'ny aur gunah chorny mein kabhi dair na karo, Kiun ky safar jitna taveel hota jaye ga wapsi utni hi dushwar hogi...!!!"



Insan MOUT say darta ha KIUNKE is sy bach nahi sakta aur DOZAKH sy nahi darta jab ky wo is sy bach sakta ha

"Insan MOUT say darta ha KIUNKE is sy bach nahi sakta aur DOZAKH sy nahi darta jab ky wo is sy bach sakta ha...!!!"



Jumma Ki Har Ghari Me Das Lakh Ki Magfirat

Jumma Ki Har Ghari Me Das Lakh Ki Magfirat: "Allah taala maahy ramzan mein rozana aftar ky waqt das lakh aisy gunahgar ko jahanum sy azad farmata ha jin par gunaho ki waja sy jahanum wajib ho chuka tha, neez shab-e-juma aur roz-e-juma ki har har ghari mein aisy das das lakh gunahgaro ko jahanum sy azad kiya jata ha jo azab ky haqdar qarar diye ja chuky hoty hain...!!!"



Kanjoos shakhs kitna badnaseeb ha ky dunya mein fakeero jaisi zindagi guzarta ha aur qayamat ko ameero jaisa hisab dy ga

"Kanjoos shakhs kitna badnaseeb ha ky dunya mein fakeero jaisi zindagi guzarta ha aur qayamat ko ameero jaisa hisab dy ga...!!!"



Khush ikhlaq logo sy khush ikhlaqi sy paish aana kamal nahi magar Bad ikhlaq logo sy khush ikhlaqi sy paish aana kamal ha

"Khush ikhlaq logo sy khush ikhlaqi sy paish aana kamal nahi magar Bad ikhlaq logo sy khush ikhlaqi sy paish aana kamal ha...!!!
Hazrat Ali (R.A)



Main janat ky shoq mein ibadat nahi karta yeh tijarat ha aur na hi

"Main janat ky shoq mein ibadat nahi karta yeh tijarat ha aur na hi jahanum ky khof sy karta hun ky yeh gulami ha. Main sirf aur sirf isliye ibadat karta hun ky mera rab ibadat ky laaiq ha...!!!
Hazrat Ali (R.A)



Monin bandy ki nishani yeh hai keh jab uss ki mout ka waqat qareeb aajata hai to uss ke chehry par muskurahat bhi aajati hai

"Monin bandy ki nishani yeh hai keh jab uss ki mout ka waqat qareeb aajata hai to uss ke chehry par muskurahat bhi aajati hai...!!!"



Naseeb sy ziyada qeemti Duaa hoti hai Kiunke jab Zindgi me sab kuch badal jaey tab insaan ke pas duaa hi bachti hai jo naseeb badal deti hai

"Naseeb sy ziyada qeemti Duaa hoti hai Kiunke jab Zindgi me sab kuch badal jaey tab insaan ke pas duaa hi bachti hai jo naseeb badal deti hai...!!!"



Nabi-e-kareem (S.A.W) Ki Sunnat

Nabi-e-Kareem (S.A.W) Ki Sunnat:
  • Logon sy milty waqt muskurana.
  • Andhy ko raasta dikhana.
  • Raasty sy pathar hatana.
  • Jab mareez ki ayadat ko jana to usey apny liye dua karny ko kahna kiun k mareez ki dua farishto ki dua ki tarha hoti ha.
  • Sarsabz o shadab rahy wo shakhs jo meri hadees suny aur usey dosron tak pohanchaye...!!!"


0 comments:

Post a Comment